Pendrive Ko Bootable Kaise Kare[Create A Bootable USB Drive]
Pendrive Ko Bootable Kyu Kare
To dosto pendrive ek CD/DVD ki tarah kam karta hain, jis tarah CD/DVD humare system ko formet karta hain usi tarah pendrive bhi humare system ko formet karta hain. kai bar aisa hota hain humari jo bootable CD/DVD hain vo kabhi kabhi kam nahi karte agar unpar thode se bhi scratch pad gaye to vo CD/DVD humare kuch kam ki nahi rahati.Jin computer me ya laptop CD/DVD Drive nahi hota unke liye ye bahut useful hain. Jadatar mini laptop ke liye ye trick bahut useful kyuki mini laptop me CD/DVD Drive nahi hota. Vise dekha jaye to USB port har device me hota hain. Aur sabse importent bat pendrive me humare OS sefty rahata hain usko kuch nuksan nahi pahuchta matlab pendrive ke under ke data kabhi kharab nahi hoga. Windows file ko iso me kaise convert karte hai sike bare me ek post pahle hi likh chuka hu.
To friends ye trick shuru kaarne se pahale humye jaan lete hain ki pendrive ko bootable banane ke liye humare pass kya kya chize honi chaiye.
Pendrive Ko Bootable Banane Ke Liye Humare Pass Kya Chize Honi Chaiye
Bootable Pendrive banane ke liye hume kuch chizo ki jarurat padegi
1. Bootable pendrive banane ke liye kam se kam 8GB ka pendrive hona chaiye taki pura OS setup copy ho sake
2. Bendrive ko bootable banane ke liy aapke pass computer ya laptop to hona hi chaiye.
3. Bootable Pendrive banane ke liy windows operating system yani ek OS ki CD ya setup hona chaiye.
Aagar aapke uper di gayi tIno chize hain to achi bat hain, to chalo trick shuru karte hain.
Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye Without any softwares
Step:1 Sabse pahale jis pendrive ko aapko bootable karna hain vo pendrive apne PC/Laptop ya jo bhi hain use connect kare.
Step:2 Sabse important bat main aapko batana chaunga ki pendrive ko aapne device par connect karne ke bad apne perndrive me jo bhi deta, files hain un sabhi files ko computer hard drive me remove kar de, lekin disk C ko chodker kishi bhi disk me save kare.
Step:3 Ye sab kam hone ke bad my computer me jaker pendrive par right click kare aur phir format par click kare.
Step:4 Ek popup khulega usme kuch option honge, un option me se File System me NTFT option selact kare aur badh me usi popup me Format Option hoga usme kuch cheack box honge un check box me se Quick Format ko check mark kar de.
Step:5 Last me Start button par click kar de aur ek popup khulega usme aapko ok karna hain. Kuch der me pendrive bootable ho jayega. Jab pendrive bootable ho jayega tab pendrive kuch bhi deta nahi rahega.
Step:6 Pendrive bootable usb pendrive hone bad aapne oprating system yani OS ko CD/DVD ya phir jaha bhi save kar rakha ho un sabhi setup ko Ctrl+A dabaker copy kare.
Step:7 Copy karne ke bad pendrive me paste kare.
To aapna kam pura ho chuka hain ab aap computer ko asani se pendrive se formet kar sakte ho.
No comments:
Post a Comment