What Is Malware And Their Types In Hindi - Technical Praful

Technical Praful is blogging site.we provide knowledge about blogger,wordpress,latest tech news.

Breaking

Home Top Ad

Post Top Ad

Monday 13 January 2020

What Is Malware And Their Types In Hindi

What Is Malware And Their Types In Hindi

What Is Malware And their Types In Hindi
What Is Malware And Types In Hindi
What Is Malware And their Types In Hindi-Dosto , Mai aaj aapko bataunga ki Malware – Virus,Trojan,Worms  kya hai ,aur yah kitne types ka hota hai , aur Malware ke Computer me aane ke baad kya kare , isse bacha kaise ja sakta hai.

Aaj kal har dusre Computer ki yahi Problem hai ki usme Malware – Virus,Trojan,Worms   ka attack ho chukka hai , ya uski wajah se Computer slow ho chukka hai ,aaj Technical Praful aapke insab Questions ka Full or Helpful jawab Dega.

Malware Ka Pura naam kya hai aur yah Kya hai-


Malware ka Pura naam Hota hai – Malicious Malware,yani ki aesa Software jo ki aapke System me aane se aapke system ko aapki Files ko bekar kar sakta hai.

Malware kaha se Mobile ya Computer me aata hai-

Online- Malware aane ka pahla Source hai internet, agr aap internet par kisi aesi website par visit karte hain jis par malwares hai ya wahan se Images, Files, Videos ko download karte hai ya kisi add par click karte hai ya aapke paas koi Malicious E-mail aata hai , to Malwares aapke Mobile\Computer par kabja kar lete hain.

Offline- offline me yadi aap kisi Friends ya Relative ki Pendrive ya DVD ko apne Computer ya Mobile me Connect karte hain to aapke System me bhi Malware aa sakta hai.

Malware Types In Hindi-


Malware 3 Types ka Hota hai-

  • Virus
  • Trojan
  • Worms

Virus-

Agar virus aapke system me aa jata hai to aapke system ki Files Courrpt ho jati hai, agar maan le ki Virus aapke ms-word file ko nukskaan pahuchata hai to waha file aap open nahi kar sakte.aur aapse yah file ko aap share kar leta hai to yah dusre computer me bhi jaakar saari files ko kharab kar deta hai.

Worms-

Kabhi kabhi aap jab dekhte honge ki aapki koi file bahut saari copy ho gayi hai aur jab aap inhe open karte hai to yah open nahi hoti .dosto , jab bhi kabhi aapke Pc me aesa ho to aap yah jaan le ki aapke Pc me Worms aa gye hai , Kyonki Worms ki yah khasiyat hoti hai ki yah kisi Computer me jaakar Files ko corrupt karke uski copy bna lete hai , agar aapne turant apne computer ko sahi nahi karaya to yah aapke computer ko aur bhi slow kar sakta hai.

Trojan-

Trogen ek bahurupiye ke Roop me aate hai wah aapke Computer me AntiVirus ke Roop me,Speedboster ke roop me aa sakte hai, agar yah aapke computer me aa gye to yah dheere se dusre Harmful Virus, worms ko bhi aapke computer me le aate hai.

Malware se ham apne Computer aur Mobile ko Kaise Bacha sakte hain -


Malware Tabhi aapke computer /Mobile par tabhi attack karte hai jab aap is par dhyaan nahi dete

Jab bhi  aap kisi website par Visit kare to Dhyan rahe ki wah website Guine ho ,Trusted ho, Popular Website ho

Dosto kabhi kabhi aap koi website open karte hai to wahan se Msg aata hai ki aap ek Congreats!!! Aap ek Smartphone jeet gye hai , dosto aese msg ka bharosa aap bilkul bhi n kare , aap Try karne ke liye bhio aese ads par click n kare , Kyonki in ads par click karna yani ki malwares ko dawat dena hai.

Free Software, Lottery , Smartphone Winnings Email se aane wali Links par Click na kare.

Apne Computer me ek Paid  Antivirus Install kar le kyonki Free ke antivirus ka koi Bhi kaam nahi karte, Free Antivirus ko Computer me Install karna ya n karna barabar hai, yani ki agar aapne Computer ko 55,000 me khareeda hai to aap apne computer ki Suraksha ke liye kuch paise  to kharch kar  sakte hai.

Bahut bar dekha yah jata hai ki bahut se log gane , Videos, Games ko Copy karne ke Chakkr me apne pc me malware ko dawat de dete hai ,isliye jab bhi aap apne PC me koi Pendrive , Chip, DVD lagaye to wah  Trusted DVD / Pendrive hi lagaye.


Computer Me Se  Malware Ko Kaise Hatatye-


Paid antivirous Ko Install kar le.

Computer ki Window ko Formate kar de.

Computer Internet  ki Security ko banaye rakhne ke Liye Firewall ka Use kare.

दोस्तों , आशा है यह Post आपको पसंद आई होगी , अगर आप आगे भी ऐसी ही Posts से अपने आप को Update करना चाहते है ,तो आप हमें Subscribe जरुर करे |

बनिये और भी Smart , Technical Praful  के साथ

To aapko ye What Is Malware And It Types In Hindi  post jarur pasand aai hogi, agar aapko ye post pasand aaye to apne dosto ke sath jarur share kare.

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Pages